Monday, December 8, 2008

sayari-2

1. Aap ki hasi main gulab khiltein hain,
aap ko gulab kya dun?
Aap ki dant hirein hain,
aapko hironki anguthi kya dun?
aap ki rang hai sona,
aap ko sone ki anguthi kya dun?
aap hai pari asman ki,
aap ko dharti ka dhul kya dun?

2. Humse suni har sur ant hi unki geet se,
humse dekhi har nazar ant ho unki singar se,
humara manzil ki har rahein ant ho unki ki aangan main,
humara har jindagi ki ant ho unki bahon main.

3. Aisi din humein manjur nahin agar wo hasenge nahin,
aisi raat humein manjur nahin agar wo sapno main ayenge nahin,
aisi jivan humein manjur nahin agar wo humare banege nahin,
aisi maut humein manjur nahin maut unki god main hogi nahin.

4. Kuch le sakta hun toh unki har dukh dard lelun,
kuch pi sakta hun toh unki liye bani har zehar pilun,
kuch kar sakta hun toh unki jindagi ki registan ko
rangin wadio main badal dun.

5. Wo sawan hai kya agar baris main mayur nache nahin,
wo basanth hai kya agar phul dharti main khile nahin,
wo baisakh hai kya agar koi pyaasa hua nahin,
wo phul hai kya agr bhawanr madhu banaye nahin,
wo raat hai kya agar asman pe tarein chamaktein nahin,
wo din hai kya agar wo sabere suprabhat bolein nahin.

6. Unki batonse humne geet gana sikhe hain,
unki chalise humne nachna sikhe hain,
unki likhanse humne sayari sikhein hain,
unki dukhse humne rona sokhe hain,
unki khusise humne muskurana sikhe hain,
unki chahatse humne pyar karna sikhein hain.

7. Aap gulab hain to main sakhonki kantein ban jaun,
aap moti hain to main jhilki shell ban jaun,
aap pyaasi hain to main thandi paani ban jaun,
aap panchi hain to main khuli asman ban jaun,
aap nadi hain to main samundar ban jaun,
aap priya hain to main aap ki premi ban jaun.

8. Kaisa hota hai din suraj ki siwa,
kaisa hota hai raat chandi ki siwa,
kaise hota hai machli paani ki siwa,
aisa tha humara din aap ki siwa.

9. Juban ki ishara sab samjh paye,
ankhon ki ishara samjhne wali koi chahiye,
dil baat juban pe na ye,
dil ki baat samjhnewali koi dilwali chahiye.

10. Aap ki ghum humare ankho ki ansu bangaye hain,
Aap ki khusi humare badan ki hasi bangaye hain,
aap ki sapne humare jine ki maksad bangaye hain,
aap ki dastan humare pyar ki kabita bangaye hain.

11. Madhu milti hai phulon se
lekin ek bhawanr chahiye,
milti hai chamak hiron ki pathar se
lekin ek susal karigar chahiye,
puri hoti hai mannat bhagwan ki kripa se
lekin thodisi mehnat chahiye,
milti hai pray har kisi ko
lekin ek pyar bhara dil chahiye.

12. Badalti hai rang asman ki sagar ki guno se
badalti hai dharti rang rup sawan ki ghata se
waise badle hain humara soch aap ki chahat se.

13. Chahethe banenge aap ki husn ki hasin
bangayehein aap ki ankho ki ansu
Chahethe banenge aap ki pairon main ghunguru
bangayehain aap ki pairon main kante
Chahethe bangenge aap ki hath main kangan
bangayehein aap ki hath ki hathkadi
Chahathe banenge aap ki apne
bangayehain aap ke paraye

14. Aap ki hasi jo bangayethe sapne hamare liye
aaj sapno main bangaye woh hasi hakikat hamare liye
yeh raat ke bad sabera na ho
is hasin sapne ki ant na ho.

15. Aap ki geet ko koyal ki geet man liye,
Aap ki nah ko mayur ki nach samajh liye,
aap ki saath biti wo lamho ko sapna soch liye,
duniya ki is reet ko hakikat bol diye.

16. Agar main unchi asman pe pahanch saku toh apko kuch chamakte tare dun,
agar main neeli sagar ki gehrai ko chhun sakun toh aap ke liye kuch moto samet lun,
agar main kabhi banjaun raja aap ke liye kohinoor jeet lun,
agar main kabhi ban jaun jogi aap ke liye swarg main a mahl mang lun,
agar main kabhi ban jaun sayar aap ke liye kuch sayari likh dun.

17. Bhawar kiskeliye guguna rahi hai yeh aap phul se puchuye,
asman se bijli kyun chamak rahi hai yeh aap ghata sawan se puchiye,
dharti ki kya rista hai sagar se yeh aap chand ko puchiye,
radha kiski intezar main hai madhuban main yeh aap kishan se puchiye,
khil rahi hai hasi gulab ki unki badan main kiskeliye yeh humain puchiye/
jhuki kyuun hain ankhein unki saram se kiskeliye yeh humein puchiye.

18. Wo rehtein humare nazron main unki tasbir mat dhunda karo,
unki mahal hai humare sapno main unki pata mat dhunda karo.
unki sare adayein hain aap ki nazakat main unko kisi dusromain dhunda na karo.

19. Humare hathon ki ishara samjha mat karo humare ankhon ke ishare samjho karo,
humare juban ki baton ko suna mat karo humare dilke bat ko suna karo,
hum chhupana chahtein hain humara pyar ko ye jalim duniyase ye bat ko aap samjha karo.

20. Kashmirki kaliyan unki husnki yad diladi,

thandi hawaein unki lehrati anchalki yad diladi,

chanchal jaharne unki payalki yad diladi,

sundar dal jheel unki pyarbhara dilki yad diladi,

dhartiki es swargne asman ki ek pariki yad diladi.

21. Rabne banaya aapko unki marzise,

range hain lehrati julfoko (kale) ghata sawanki rangse,

range hain chamki badanki (peeli) surajmukhiki rangse,

range hain sharmili ankhoko (safed aur neeli) kamalki rangse,

range hain bechain hothonko (gulabi) gulabki rangse,

aapka marzi hoto ranglena aapki mangko humari (lal) lahuki rangse.

22. Hum bolte hain aapki jubanse, humare baton keliye itne bechain kyun hai,

hum rehtein hain aapki dil main, humain milne keliye itni tadap kyun hai,

hum khus hain aap ki hasise, khudko rulake humein khus karneki koshis kyun hai.


23. Chup chup ke dekhtein hain aapko, dartein hain koi dekhna le,

Chhupa ke rakhe hain aapko humare dil main, dartein hain koi aur churana le,

Chandsa pariko mohabbat kiyein hain, dartein hain aap muh mod/hatana lein.

24. Safaltaki sikhar main khade dartein hain yeh pair phisalna jayey,

Surajmukhi hath main liye dartein hain yeh girna/....... jayey,

Sathi yeh jivanki dartein hain yeh hath bichhadna jayey.


25. Gujarein hai ye jindagi aap ki talash main, guzarish aap se hai ek mulakat keliye,

Gawah denge apni sab kuch aap ki pyar main, guzarish aap se hai ek sayari/muskurahat keliye.

26. Bechain hain aap humse mailne keliya, hum bhi kum bechain nahin,

Betab hain aap humare geet keliye, hum bhi kum betab nahin,

Bebas hain aap 'ZARAA' zaisi, humari bebasi 'VEER' se kuch kum nahin.

27. Bhari mehphil main hum tanhai se milne lage,

akele main dil ki bat diwaron se sunane lage,

chandni rat main suraj ki tez se bighalne lage,

din ki ujale main sapno ki kanvas main khusion ki rang rangne lage,

komal kamal ki kante chugne lagi hathon main to dil se lahu behne lage,

manzil ki har kante anand ki dawat dene lage,

unchi imarat main khadi jamin ki jheel main kisi aur ki parchhai dekhne lage,

zamin main baithe sitare jal bunne lage,

rahein pata tha manzil ki lekin manzil badalne lage,

dur nahin hai nayi manzil lekin koi sathi ki intezar karne lage,

hua hai yeh hal behal kisko bayan kare ye sochke ghabrane lage.

28. Guzarein hai sare jindagi aap ki talash main,

guzarish hain aap se ek mulakat ke liye,

gawah denge apna sabkuch aap keliye,

suzarish hai aap se ek sayari keliye.

1 comment:

Rupa said...

Ayyo! you are amazing