Monday, May 4, 2009

Tum

Najron main mere khilte raho tum
ab mere duniya ban gaye ho tum,
hathon main mere hath thamlo tum,
ab mere sahara bangaye ho tum,
sasein bharlo mere jism main tum
ab mere jaan bangaye ho tum.


Bhare hain rahein kantonse
humse phool ki ummid na karna,
kantonse ghayal huye toh kabhi
humse malham ki ummid na karna.
Paironse khade nahin hain apne,
humse sahara ki ummid na karna,
pair phisal gaya toh kabhi
humse sahayata ki ummid na karna.
Bahat dur hai mera manzil
humse yun dekhe rehne ki ummid na karna,
kabhi akele ho gaye toh kabhi
humse milne ki ummid na karna.
Nafrat ki buniyad pe khade hain hum
humse mohabbat ki ummid na karna,
dil tut gaya toh kabhi
humse humdardi ki ummid na karna.

Humein yun na dekha karo
warna aap ki ankhon main sama jayenge,
Humein yun na hath diya karo
warna aap ko churake lejayenge,
Humein yun na yaad karo
warna aap ki dil main bas jayenge,
Humein pyar dene ki ummid na karo
warna duniya ki dushman banjayenge,
Humein chhodke jina sikha karo
warna aap ko rulake jayenge.

No comments: